ISLAMABAD (The Thursday Times) — Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif ne Saudi Arabia ke khilaf Houthi baghiyon ke hamlon ki shadeed muzammat karte hue kaha hai ke Pakistan Mamlakat-e-Saudi Arabia ki khudmukhtari, salamati aur ilaqai salimiyat ke liye us ke shana ba shana khara rahega.
Pakistan mein Mamlakat-e-Saudi Arabia ke naye safeer Dr Rajeh bin Tami Albugamy ne Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif se mulaqat ki, jahan wazir-e-azam ne Pakistan aamad par naye safeer ka khair maqdam kiya aur nayi zimmedariyan sambhalne par mubarakbad dete hue un ki kamyabi ke liye nek khwahishat ka izhar kiya.
Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif ne haliya barson mein Pakistan aur Saudi Arabia ke taalluqat mein numayan pesh raft ka zikr karte hue mukhtalif shobon mein dotarfa taawun ko mazeed gehra aur wasi karne ke liye Pakistan ke azm ka iaada kiya.
Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif ne Mamlakat-e-Saudi Arabia ke khilaf Houthi baghiyon ke hamlon mein haliya izafe ki shadeed muzammat ki, jis ke nateeje mein qeemati jaanein zaya huin aur Pakistani shehriyon samet mutaddid begunah afrad zakhmi hue. Unhon ne zor diya ke Pakistan aur Saudi Arabia hamesha aik doosre ke shana ba shana khare rahe hain.
Shehbaz Sharif ne Strategic Mutual Defence Agreement aur Makkah Joint Defence Alliance ko donon mulkon ke deereena baradarana taalluqat mein tareekhi sang-e-meel qarar dete hue kaha ke yeh ilaqai amn-o-salamati ke liye donon mulkon ke mushtarka azm ki akasi karte hain.
Wazir-e-azam ne is azm ka bhi iaada kiya ke Pakistan Mamlakat-e-Saudi Arabia ki khudmukhtari, salamati aur ilaqai salimiyat ke tahaffuz ke liye us ke shana ba shana khara hai.



