DAMASCUS (The Thursday Times) — Shaam ne kaha hai ke Saudi Arab ke sath us ka naya fauji muahida tarbiyat aur apni musallah afwaj ki tameer-e-nau ke liye hai, Yemen mein Houthiyon se larne ke liye fauj bhejne ke liye nahin. Is se pehle kai din tak mutazad ittilaat aati rahin ke saikron balke mumkina taur par hazaron Shaami ahalkar Saudi Arab aur Yemen ja rahe hain.
Wazir-e-kharja Asaad al-Shaibani ne Peer ko Damascus mein apne Urduni hum mansab Ayman Safadi ke sath news conference mein kaha, “Yemen mein afwaj ki koi tainaati nahin hai aur mustaqbil-e-qareeb mein is ka koi mansooba bhi nahin. Sarhadon se bahar koi bhi fauji mansooba elaan ke sath hoga, is par baat hogi aur ise chhupaya nahin jaye ga.”
Unhon ne kaha, “Saudi Arab ke sath hamara fauji muahida Shaam ki musallah afwaj ki tameer-e-nau par markooz hai.” Un ka kehna tha ke Shaam ko yeh muahida “kisi bhi doosre fareeq se zyada” darkar hai kyunke woh apni fauj aur idaron ko dobara khara kar raha hai. Unhon ne kaha ke yeh muahida sirf Damascus aur Riyadh ke darmiyan hai aur is mein Yemen ki bain-ul-aqwami taur par tasleem shuda hukoomat ke sath koi intezam shamil nahin.
Musheer, laraka fauj nahin
Yeh muahida 4 November ko sadr Ahmed al-Sharaa ke daura-e-Riyadh ke dauran samne aaya, jo ek mah se kam arse mein un ka mamlakat ka doosra daura tha, jahan unhon ne wali ahd Mohammed bin Salman se mulaqat ki. Saudi Arab ne Shaam ke infrastructure aur awami khidmat ke liye taqriban 40 crore 30 lakh dollar ke qarzon ka wada bhi kiya.
Is ke baad ke dinon mein Shaami, Yemeni, aur Americi zaraye ke hawale se media reports mein kaha gaya ke Shaami fauji ahalkar mushawarat aur tarbiyat ke liye Saudi Arab gaye hain, aur ek bari tainaati ka mansooba hai jis ka andaza baaz ne 600 special forces aur ek Yemeni zariye ne 3,000 tak lagaya. Baad mein Shaam ke ek sarkari ohdedar ne sarkari media ko bataya ke fauji “tarbiyat, maharat ke tabadle aur fauji mushawarat” ke liye mamlakat bheje gaye hain.
Al-Shaibani ne Saudi Arab par Houthi hamlon ki bhi mazammat ki, jo haliya hafton mein tez ho gaye hain, aur mamlakat ke liye Shaam ki himayat ka iada kiya.
Makkah muahida
Shaami ohdedar ne kaha ke Riyadh ke sath yeh intezam Shaam ko Makkah mushtarka difai muahide mein shamil hone ki raah dikha sakta hai, jis par Saudi Arab, Turkiye, aur Pakistan ne August mein dastakhat kiye thay. Shaam pehle hi rukniyat par ghaur kar raha tha, aur Turk parliament ne guzishta hafte muahide ki manzoori di.
Pakistan aur Shaam apne fauji taluqat bhi barha rahe hain. Shaam ke wazir-e-difa ne is mah ke shuru mein Damascus mein Pakistan ke military attaché se mulaqat kar ke qareebi taawun par baat ki.



