QUITO (The Thursday Times) — Ecuador ke sadar Daniel Noboa ne is baat se inkaar kiya hai ke America ka un ke mulk mein koi fauji adda hai. Yeh inkaar un reports ke baad aaya jis mein bandargahi shehr Guayaquil ke qareeb Taura Air Base par American tayyaron ki ghair mamooli tainati qalamband ki gayi thi.
Itwaar ko jaari honey wale ek interview mein Noboa ne kaha ke base par mojood American ehlkaar dono mulkon ke taawun ke tehat sirf “arzi sargarmiyon” ke liye wahan hain. Unhon ne kaha: “Kabhi kabhi ek khaas mission hota hai. Kabhi kabhi ek khaas operation hota hai. Hum mil kar kaam karte hain. Yeh American adda nahin, Ecuador ka adda hai.” Unhon ne tayyaron ke baare mein koi baat nahin ki aur interview lene walay ki Taura dekhne ki darkhwast ka jawab goal mol rakha.
Is tehqeeq ne, jo October mein shaya hui, base par tayyaron, darjanon khaimon aur tameeraati kaam ki nishandehi ki. Us ne June se October ke darmiyan Taura aane wali taqreeban 20 American fauji parwazon ki shinakht ki aur kaha ke us ke paas American faujiyon ki mojoodgi ka zikr karne wali dastaweezaat bhi hain.
Qanooni hasiyat par sawalat
Is tainati ke qanooni hone par sawalat uthay hain, jin mein Ecuador ke senior afsar bhi shamil hain. Reports mein September ke ek khat ka hawala diya gaya jis mein us waqt ke fizaiya commander General Mauricio Salazar ne musallah afwaj se wazahat mangi thi ke yeh tainati jaiz hai ya nahin. Salazar ko baad mein ohday se hata kar kam ahem zimmedari di gayi.
Ecuador ke shehriyon ne pichhle saal November mein ek referendum mein ghair mulki fauji addon ki ijazat dene ke khilaf vote diya, jis ki Noboa ne hamayat mein muhim chalayi thi. American mojoodgi ke daaire ka elaan nahin kiya gaya. Quito aur Washington manshiyat ki smuggling ke khilaf taawun gehra kar rahe hain, aur jab tehqeeq shaya hui to Pentagon, US Southern Command aur Ecuador ki fizaiya ne maloomat ki darkhwaston ka jawab nahin diya tha.



