ISLAMABAD (The Thursday Times) — China ne Shenzhou-24 mission ke crew ke naam ka elaan kar diya hai, jis mein Pakistan ke Muhammad Zeeshan Ali Chini khalai station Tiangong par jane wale pehle ghair mulki khala baz banne ja rahe hain.
China Manned Space Agency ne Mangal ko elaan kiya ke Chini khala baz Tang Hongbo aur Wu Yi payload specialist ke taur par muntakhab Zeeshan Ali ke sath mission par jayen ge.
Teenon ne Mangal ko baad mein shimal mashriqi China ke Jiuquan Satellite Launch Center par sahafiyon se mulaqat ki. Agency ke mutabiq Shenzhou-24 khalai jahaz Budh 25 November ko Beijing ke waqt ke mutabiq subah 8:18 baje rawana hona hai, jo Pakistan mein subah 5:18 baje banta hai.
Ab tak rawangi ki tareekh Pakistani hukkam ki taraf se samne aayi thi, jabke China sirf itna keh raha tha ke parwaz munasib waqt par hogi. Hamari saabiqa report mein khalai jahaz ke launch area mein muntaqil hone ki tafseel hai.



