Lahore (The Thursday Times) — Maroof sahafi Hasan Ayub ne nijee TV channel mein anchor aur sahafi Muneeb Farooq ke program mein guftagu karte hue inkishaf kiya hai ke 9 May hamlon ka mastermind Shah Mehmood Qureshi hai. 9 May ko kiya gaya hamla kisi hukumat par nahin balke riyasat-e-Pakistan par hamla tha.
Hasan Ayub ne bataya ke Shah Mehmood Qureshi un donon meetings mein maujood thay jin mein faisla hua tha ke agar Imran Khan ko giraftar kiya gaya toh GHQ ki janib march karna hai.
Maroof sahafi ke mutabiq 9 May ko Chakri mein meeting hui jis mein Imran Khan shareek tha. Is mein yeh faisla hua agar Imran Khan ko giraftar kiya gaya toh GHQ ki janib march kiya jayega. Us waqt nizam mein aise log maujood thay jo nau May walon ko sahulatkari faraham kar rahe thay
Unhon ne mazeed kaha ke 9 May ki poori planning maujood thi. Jab Imran Khan ki pehli martaba giraftari ke baad rihai ho rahi thi toh unhon ne kaha tha ke mujhe dobara giraftar kiya gaya toh is ka bara sakht reaction aayega.
Hasan Ayub ke mutabiq Adiala jail mein Election Commission ke arkan ko Imran Khan dhamkiyan dete aur kehte rahe ke main ne tumhari shaklein pehchan li hain main tum par hukumat mein aane ke baad Article 6 lagaunga.



