Washington (The Thursday Times) — Afghanistan mein Taliban hukumat ke khilaf sargarm musallah muzahimati tanzeemon ne October 2026 ke dauran apni karrawaiyon mein ghair mamooli izafa kiya hai. Mulk ke janoobi, shumali, mashriqi, maghribi aur wasti ilaqon mein Taliban ki chokiyon, fauji tansibat, gariyon aur aham ahalkaron ko nishana banane ke mutaddid daawe samne aaye hain.
US ke tehqeeqi idare Foundation for Defense of Democracies ke jareede "Long War Journal" ki report ke mutabiq October mein Taliban mukhalif tanzeemon ne majmooi taur par 82 hamlon ki zimmedari qabool ki, jo September ke muqable mein do guna se bhi zyada hain.
In karrawaiyon mein barudi mawad se kiye gaye dhamake, rocket aur mortar hamle, ghaat laga kar ki gayi karrawaiyan aur aham Taliban ahalkaron ki target killing shamil thi.
Muzahimati tanzeemon ke daawon ke mutabiq in hamlon mein 122 Taliban ahalkar halak aur 68 zakhmi hue. Report ke mutabiq karrawaiyan Kandahar, Helmand, Zabul, Badakhshan, Baghlan, Takhar, Kabul, Bamyan, Parwan, Kapisa, Panjshir, Wardak, Ghor, Herat, Sar-e-Pul, Kunar, Nangarhar, Nuristan, Ghazni, Paktia aur Logar samet Afghanistan ke 21 sooboon mein report hueen.
Afghan United Front ke 36 hamle, Taliban ke mazboot garh mein muzahimat tez
October mein sab se zyada hamlon ki zimmedari sabiq Afghan fauji commander Lieutenant General Sami Sadat ki tanzeem Afghan United Front ne qabool ki.
"Long War Journal" ke mutabiq Afghan United Front ne aik maheene ke dauran 36 karrawaiyon ka daawa kiya, jo doosri sab se zyada sargarm tanzeem ke muqable mein teen guna se bhi zyada hain.
In hamlon ki bari taadad Kandahar aur Helmand mein hui, jo Taliban ke aham siyasi, askari aur nazriyati markaz samjhe jate hain.
Sami Sadat Afghanistan ki sabiq qaumi fauj ki 215wein Helmand Corps ke commander reh chuke hain. Woh Helmand mein pale barhe aur un ki tanzeem ne janoobi Afghanistan mein Taliban ki giraft ko challenge karne par khusoosi tawajjoh markooz kar rakhi hai.
Jaride ke mutabiq Sami Sadat Taliban mukhalif muzahimat ke numayan rehnumaon mein munfarid haisiyat rakhte hain, kyunke un ki tanzeem ki karwaiyon ka bara markaz janoobi Afghanistan hai, jahan Taliban ka asar-o-rusookh tareekhi taur par mazboot raha hai.
26 October ko Afghan United Front ne mehz 24 ghante mein Ghor, Badakhshan, Ghazni, Zabul, Kandahar aur Parwan mein saat hamlon ki zimmedari qabool ki.
"Long War Journal" ne mukhtalif soobon mein aik hi din hone wali in karwaiyon ko tanzeem ki behtar askari mansoobabandi aur hamlon ko marboot karne ki salahiyat ka ishara qarar diya.
Ahmad Masood ki National Resistance Front ke 11 hamle
Ahmad Masood ki qiyadat mein National Resistance Front ne October mein 11 hamlon ki zimmedari qabool ki.
Yeh karwaiyan Badakhshan, Baghlan, Panjshir, Herat, Kandahar aur Wardak mein report hui.
In hamlon mein National Resistance Front se wabasta do girohon, Shaheed Masood Brigades aur Panjshir Unit 01, ki karwaiyan bhi shamil hain.
12 September ko apne qiyam ka elan karne wali Shaheed Masood Brigades ne 24 October ko Panjshir mein Taliban ki aik gari par hamle ki zimmedari qabool ki. Tanzeem ke mutabiq is karwai mein chaar Taliban ahalkar halak aur do zakhmi hue.
October ki aik aham karwai 4 October ko Badakhshan ke shehr Faizabad mein samne aayi, jahan National Resistance Front ne Taliban ke naib intelligence sarbarah Safiullah Mutawakkil aur un ke do muhafizon ko halak karne ka dawa kiya.
Taham Taliban ne bhi muzahimati tanzeem ko aham nuqsan pahunchaya.
18 October ko Panjshir ke zila Paryan mein National Resistance Front ke commander Mirwais Khan Taliban ke saath jharpon mein mare gaye.
Yeh guzishta teen maheene mein tanzeem ke doosre aham commander ki halakat thi. Is se qabl 19 August ko Taliban ne Parwan ke shumali Salang ilaqe mein muzahimati commander Haseeb Panjshiri ko halak kiya tha.
"Long War Journal" ke mutabiq aham commanders ki musalsal halakatein is baat ko zahir karti hain ke karwaiyon mein izafe ke bawujood muzahimati tanzeemon ko qiyadat aur askari salahiyat ke hawale se sangeen challenges darpesh hain.
Bagram Airbase par hamle ka dawa, Afghan Freedom Front ki sargarmiyon mein izafa
Afghanistan ki sabiq qaumi fauj ke chief of general staff Yasin Zia ki qiyadat mein Afghan Freedom Front ne October ke dauran 10 hamlon ki zimmedari qabool ki.
Yeh karrawaiyan Badakhshan, Parwan, Kabul, Kapisa, Kunar, Logar, Nuristan aur Takhar mein ki gayin.
22 October ko Afghan Freedom Front ne Bagram Airbase par bilwasta firing ke zariye hamle ka dawa kiya, jis mein tanzeem ke mutabiq 10 se zaid Taliban ahalkar halak ya zakhmi hue.
Bagram Afghanistan ki aham fauji tanseebat mein shumar hota hai aur maazi mein US afwaj ka bara fauji adda reh chuka hai.
Afghan Freedom Front ne musalsal doosre maheene Nuristan ke zile Kamdesh mein bhi Taliban ke khilaf karrawaiyon ka dawa kiya.
Kamdesh Pakistan ki sarhad ke qareeb waqe hai.
"Long War Journal" ke tajziye ke mutabiq is ilaqe mein musalsal karrawaiyan mumkina taur par Afghan Freedom Front ki janib se naql-o-harkat ki azadi hasil karne aur rasad ke raste qaim karne ki koshish ka hissa ho sakti hain.
Taham is mumkina hikmat-e-amli ki azadana tasdeeq nahin hui.
Taliban mukhalif mazahmat mein nayi tanzeem, Afghan National Liberation Front ka qiyam
October ke aakhir mein Taliban mukhalif mazahmat ke andar aik nayi tanzeem samne aayi.
29 October ko Afghan zaraye iblagh ne report kiya ke sooba Farah se taalluq rakhne wale sabiq rukn-e-parliament Abdul Sattar Hussaini aur Afghan Freedom Front ke do deegar arkan ne apni tanzeem se alehdagi ikhtiyar kar ke Afghan National Liberation Front qaim kar liya.
31 October ko nayi tanzeem ne Paktia ke shehr Gardez mein Taliban ki 203wi Mansoori Corps par apni pehli karrawai ki zimmedari qabool ki.
Tanzeem ke mutabiq hamle mein do Taliban ahalkar halak aur aik zakhmi hua.
"Long War Journal" ne nishandehi ki ke Afghan National Liberation Front ne Afghan Freedom Front se taqreeban milta julta nishan ikhtiyar kiya, jis mein bunyadi farq sirf rangon ka tha.
Jaride ke mutabiq nayi tanzeemon ka qayam aik taraf Taliban mukhalif sargarmiyon mein izafe ki nishandehi karta hai, lekin doosri janib muzahimati tehreek ke andar barhti hui taqseem ko bhi zahir karta hai.
Taliban mukhalif giroh ab tak aik muttahida qiyadat aur mushtarka hikmat-e-amli ke teht munazzam hone mein kamyab nahin ho sake.
Amrullah Saleh ki Green Unit ke 8 hamle, Bharti sakhta helicopter girane ka dawa
Afghanistan ke sabiq naib sadr aur intelligence idara National Directorate of Security ke sabiq sarbarah Amrullah Saleh se wabasta Green Trend ke askari wing, Green Unit, ne October mein 8 hamlon ki zimmedari qabool ki.
Yeh karrawaiyan Badakhshan, Panjshir, Bamiyan, Helmand aur Herat mein report hui.
"Long War Journal" ke mutabiq rawan saal askari karrawaiyan shuru karne wali Green Unit ke liye yeh ab tak ki sab se zyada mahana tadad thi.
Green Unit ne Panjshir mein Bharti sakhta Cheetal helicopter maar girane ka bhi dawa kiya, jis mein donon pilot zakhmi hue.
Taham Taliban ne is dawe ki tardeed ki.
Taliban hukkam ke mutabiq helicopter kisi hamle ka nishana nahin bana balke namunasib maqam par utarte hue chattanon se takra gaya tha.
Is waqie ke bare mein donon fareeqon ke mauqif mukhtalif hain aur helicopter ke hadse ki asl wajah ki azadana tasdeeq nahin ho saki.
Afghanistan Republican Front ke 9 hamle, Ghor mein Taliban gashti dasta nishana
Sabiq governor Bamiyan Tahir Zamir ki qiyadat mein Afghanistan Republican Front ne October ke dauran 9 hamlon ki zimmedari qabool ki.
Yeh karrawaiyan Bamiyan, Sar-e-Pul, Ghazni, Ghor aur Kabul mein report hui.
11 October ko tanzeem ne Ghor ke dar-ul-hukumat Firozkoh mein Taliban ke aik gashti daste par barudi mawad se hamle ki zimmedari qabool ki.
Tanzeem ke mutabiq is karrawai mein 4 Taliban ahalkar halak aur 2 zakhmi hue.
Doosri janib Homeland Soldiers Front ne 19 October ko Takhar ke zila Kalafgan ke Taliban zilai governor ko nishana banane ka dawa kiya.
Yeh July mein Badakhshan ke zila Yaftal-e-Sufla ke markaz par arzi qabze ke baad tanzeem ki pehli elan kardah karrawai thi.
Nangarhar mein Taliban jail afsar ki halakat, mukhtalif tanzeemon ke mazeed hamle
National Mobilization Front ne 5 October ko Nangarhar ke shehr Jalalabad mein Taliban ke aik aala jail afsar ko qatl karne ki zimmedari qabool ki.
Taliban ne bhi mutaalliqa afsar ki halakat ki tasdeeq ki.
Baad azan 15 October ko Taliban ne dawa kiya ke unhon ne Paktia ke zila Dand Patan mein is qatl ke mubayyana zimmedar shakhs ko halak kar diya hai.
Sabiq Afghan fauji commander Hamid Saifi ki qiyadat mein Freedom and Justice Movement ne 22 October ko Parwan mein Taliban ki aik chauki par hamle ki zimmedari qabool ki.
Tanzeem ke mutabiq is karrawai mein aik Taliban ahalkar halak aur do zakhmi hue.
Afghan Liberation Movement ne 17 October ko Taliban ke aik qafile par ghaat laga kar hamle ka dawa kiya.
31 October ko aik aur nayi Taliban mukhalif tanzeem, National Ideal Front, ne Ghazni, Baghlan aur Helmand mein teen hamlon ki zimmedari qabool ki.
Tanzeem ke mutabiq in karrawaiyon mein aik Taliban ahalkar halak aur do zakhmi hue.
Mashkook videos, 14 mubayyana hamle mahana aadad-o-shumar se kharij
"Long War Journal" ne apni report mein Taliban mukhalif tanzeemon ke tamam dawon ko durust tasleem nahin kiya.
National Independence Front ne October ke dauran 14 hamlon ki zimmedari qabool ki, taham jaride ne in karrawaiyon ko apne majmooi aadad-o-shumar mein shamil nahin kiya.
Report ke mutabiq tanzeem ki janib se social media par jari ki gayi mutaddid videos bazahir purani thin.
Isi tarah 29 October ki aik mubayyana karrawai ke saath jari ki gayi video bhi wazeh taur par pehle se tarteeb di gayi mehsoos hoti thi.
In shawahid ki bunyad par "Long War Journal" ne tanzeem ke 14 mubayyana hamlon ko October ke 82 hamlon ki majmooi tadad se kharij rakha.
Jaride ki yeh ehtiyat is liye bhi aham hai ke Afghanistan mein jari musalah tanaza ke dauran mukhtalif tanzeemon ke hamlon aur jani nuqsanat ke dawon ki azadana tasdeeq aksar mumkin nahin hoti.
Hamlon mein do guna izafa, lekin kya Taliban ke iqtidar ko waqai khatra hai?
October ke dauran Taliban mukhalif muzahmat ki karrawaiyon mein ghair mamooli izafa Afghanistan ki badalti hui security surat-e-haal ki nishandehi karta hai.
Khaas taur par Sami Sadat ki Afghan United Front ki barhti hui sargarmiyon ne janoobi Afghanistan mein Taliban ke liye aik naya challenge paida kiya hai.
Doosri janib Amrullah Saleh ki Green Unit aur Afghanistan Republican Front jaisi tanzeemon ki karrawaiyan bhi numayan taur par barhi hain.
Taham hamlon ki tadad mein izafa is baat ka hatmi saboot nahin ke Taliban hukumat ko fori taur par iqtidar khone ka khatra lahiq ho gaya hai.
Muzahmati tanzeemon ke darmiyan ikhtilafat, nayi tanzeemon ka musalsal qiyam, mushtarka qiyadat ka fuqdan aur aham commanders ki halakatein un ki taweel muddati askari salahiyat ke bare mein sawalat paida karti hain.
"Long War Journal" ke tajziye ke mutabiq Afghan United Front ki sargarmiyon ne Taliban mukhalif hamlon ki tadad mein numayan izafa kiya hai, lekin muzahmati tehreek ki taqseem aur qiyadat ko pahunchne wale nuqsanat is ki mustaqbil ki kamyabi mein bari rukawat ban sakte hain.
Afghanistan mein Taliban mukhalif musallah muzahmat bilashuba aik baar phir zor pakar rahi hai, lekin asl imtihan hamlon ki tadad barhana nahin balke mukhtalif girohon ko aik mushtarka siyasi aur askari hikmat-e-amli ke teht muttahid karna hai.



