RAWALPINDI (The Thursday Times) — Saud Shakeel match mein doosri baar century se mehroom rahe aur 97 runs par out ho gaye, jabke Pakistan aur Sri Lanka ke darmiyan pehla Test Jumme ko Rawalpindi Cricket Stadium mein draw par khatam ho gaya.
Pehli innings mein 93 runs banane wale Saud Shakeel ne 210 gendon ka saamna kiya aur saat chaukon ki madad se 97 runs banaye. Un ke out hote hi dono teamon ne haath mila liye. Us waqt Pakistan ka doosri innings mein score 284 runs aath khilari out tha aur match ka faisla kisi ke bas mein nahin raha tha.
Pakistan ne aakhri din subah 57 runs aik khilari out par innings dobara shuru ki, us waqt bartari 45 runs thi, taham Azan Awais 22 aur Mohammad Taha 24 runs par apne score mein koi izafa kiye baghair out ho gaye. Lahiru Kumara aur Asitha Fernando ne aik aik wicket li.
Babar Azam ne chhe chaukon ki madad se 48 gendon par 34 runs banaye, jis ke baad Milan Rathnayake ne unhein out kiya. Rathnayake ne Agha Salman ko bhi 13 runs par catch out karaya. 125 runs par paanch wicketein girne se Pakistan mushkil mein tha.
Saud Shakeel ne Ghazi Ghori ke saath chhati wicket par 92 runs ki shirakat se innings ko sambhala. Ghazi Ghori 69 gendon par 35 runs bana kar Rathnayake hi ka shikar bane. Arafat Minhas ne 16 runs ka izafa kiya.
Yeh match Saqib Khan ke debut ki wajah se yaad rakha jaye ga. 31 saala fast bowler ne 130 runs de kar saat wicketein lein, jin mein se paanch aath overs ke shandaar spell mein aayin, aur Sri Lanka ki wicketein yake baad deegre girein aur poori team 446 runs par out ho gayi, yun use sirf 12 runs ki bartari mili.
Dhananjaya de Silva ke 167 aur captain Kusal Mendis ki century ke baad 404 runs chaar khilari out par Sri Lanka bari bartari ki jaanib barhta dikhai de raha tha. Mendis ne 119 runs banaye thay. Pakistan ne apni pehli innings 434 runs nau khilari out par declare ki thi, jis mein top paanch mein se chaar batsmen ne half-centuries banayin.
Barish aur kam roshni ki wajah se khasa waqt zaya hua, jin mein Jumeraat ke taqreeban do session bhi shamil thay, jis ki wajah se natije ke liye kaafi khel baqi na raha.
Series ka doosra aur aakhri Test bhi Mangal se Rawalpindi hi mein khela jaye ga, jise Lahore mein smog ki wajah se wahan se muntaqil kiya gaya tha.



