Wazir-e-Azam Yousuf Raza Gilani ne khat nahin likha, is ki jurat kaise hui ke hamari hukm adooli kare? Is par tauheen-e-adalat lagao aur ise farigh karo.
Talal Chaudhry ne hamara naam liya, is ki jurat kaise hui? Is par tauheen-e-adalat lagao aur paanch baras ke liye na-ahal kar do.
Islamabad mein jalsa juloos nahin hoga.
Main toh juloos le kar aaoonga aur jalsa bhi karoonga, dekhta hoon kaun rokta hai?
Juloos bhi nikalta hai, jalsa bhi hota hai, Islamabad mein jalao gherao bhi hota hai, metro station nazr-e-aatish hota hai, green belt ko aag laga di jati hai ... lekin chalein khair hai, mumkin hai Imran Khan ko paigham durust na pahuncha ho.
Agar us ne aisa kar liya toh kaun si tauheen ho gayi? Ghalati samajh kar nazar andaz karo, koi tauheen-e-adalat nahin lagayega.
Chief Justice Qazi Faez Isa ko plate mein rakh kar do judges ka sar pesh kiya gaya aur is ke badle mein Tehreek-e-Insaf se balle ka nishan chheen liya gaya ... lekin khabardar kisi ne notice liya aur rahi tauheen-e-adalat, woh toh koi hargiz na lagaye.
Chief Justice of Pakistan choron dakuon aur luteron ka saathi ban chuka hai, Chief Justice Islamabad High Court sab se bara tout hai, in donon bayanat se tauheen nahin hoti, is liye tauheen-e-adalat ka sawal hi paida nahin hota.
Senator Faisal Vawda ne press conference mein naam liye baghair kaha ke jo meri pagri uchhalega, main is ki pagri uchhaloonga ... mera khayal hai yeh mere bare mein kaha hai, lagao is par tauheen-e-adalat aur bulao ise katehre mein.
Mustafa Kamal ki itni jurrat ke woh yeh aaeeni sawal poochhe ke kya kisi doosre mulk ki wafadari ka halaf uthane wala shakhs Pakistan mein munsif ki us kursi par baith sakta hai jahan se sirf Pakistan ki wafadari ka halaf uthane wale muntakhib wazir-e-azam ko mehz bete se tankhwah na lene par nikal diya gaya ho? Aur phir yeh sawal bhi poochh liya ke kisi aur mulk se wafadari ka halaf uthane wala kaise aik aise Pakistani ko naahl qarar de sakta hai jis ne sirf Pakistan se wafadari ka halaf uthaya ho? Qaumi Assembly ke us rukn ki itni jurrat ke yeh hamare bare mein sawal poochhe, us par tauheen-e-adalat lagao aur katehre mein bulao.
9 May 2023 ko watan ki hifazat ke liye maaon ke jigar goshon, behnon ke bhaiyon, baap ke saharon aur gharon ke charaghon, apni qeemati jaanon ki qurbaniyan dene wale raj dilaron shaheedon ki yaadgaron ko mismar kiya gaya, un shuhada ke mujassamon ko tora gaya, un ko utha utha kar zameen par patakh diya gaya .. lekin is se kursi-e-insaf par baithne wale ki na tauheen hui aur na hi hukm adooli, toh is par kaisa notice aur kaisi tauheen?
Insaf ke masnad par baithe munsifon ko un shuhada ki, un ko janam dene wali maaon ki, un bhaiyon ki behnon ki, un shuhada ki biwiyon ki, un ke boorhe baapon aur yateem bachchon ki tauheen bilkul bhi mehsoos na hui
Jab riyasat-e-Pakistan ke bani Muhammad Ali Jinnah ke naam se mansoob Jinnah House ko jala kar khakistar kiya gaya, riyasat ki imaraton bashumool Radio Pakistan Peshawar ki tareekhi imarat ko raakh ka dher bana diya gaya .. toh insaf ke masnad par baithe munsifon ko riyasat ki tauheen bilkul bhi mehsoos na hui
Jab riyasat-e-Pakistan ke fighter jahazon aur un ke models par balwaiyon ne hamla kiya, unhein aag laga kar jalaya, us waqt isi riyasat ke insaf ke masnad par baithe munsifon ko riyasat ki tauheen mehsoos hi na hui.
Yeh kaisi ajab tauheen hai jo shuhada ki behurmati par aur riyasati amlak ke jalao gherao par toh mehsoos nahin hoti .. albatta jab baat apne oopar aati hai toh tauheen mehsoos hona shuru ho jati hai .. aur us waqt mehsoos nahin hoti jab apne khaas ki janib se hukm ko hawa mein uraya jata hai
کیا انصاف کے مسند پر بیٹھے ان منصفوں کی عزت و تکریم شہداء کے خون سے زیادہ ہے؟ کیا ان منصفوں کی عزت و تکریم اس بانی پاکستان محمد علی جناح سے زیادہ ہے جس کے گھر کو جلا کر راکھ کا ڈھیر بنا دیا گیا۔
اپنی انا کے بتوں کی توہین پر تڑپ اٹھنے والے ان منصفوں کو کیا اس وقت نوٹس نہیں لینا چاہیے تھا جب شہداء کی یادگاروں کی بےحرمتی ہو رہی تھی، ان کے مجسمے مسمار کیے جا رہے تھے، جناح ہاؤس اور ریڈیو پاکستان سمیت ریاست کی اہم عمارتوں کا جلاؤ گھیراؤ کیا جا رہا تھا ۔۔ یہ توہین اس وقت محسوس کیوں نہ ہوئی جب اسلام آباد کی گرین بیلٹ کو آگ لگائی جا رہی تھی؟ جب میٹرو سٹیشن جلائے جا رہے تھے؟ یہ توہین اس وقت محسوس کیوں نہ ہوئی جب پارلیمنٹ کا گھیراؤ کیا جا رہا تھا، جب پی ٹی وی پر دھاوا بولا جا رہا تھا، جب ایک منتخب وزیراعظم کو گریبان سے پکڑ کر باہر گھسیٹنے کی دھمکیاں دی جا رہی تھیں؟ جب چینی صدر کی آمد کو روکا جا رہا تھا؟
کیا اس سب کو اس لیے نظر انداز کیا جاتا رہا اور آج تک کیا جا رہا ہے کیونکہ اس سے ایک لاڈلے اور اس کی جماعت کو نقصان پہنچنے کا خطرہ ہے؟ یہ توہین صرف تب یاد آتی ہے جب اپنے مفادات یا اپنے لاڈلے کے مفادات پر ضرب پڑتی ہے؟
آخر ایسا کیوں ہے؟
کیا ان منصفوں کی انا اس دھرتی پر جانیں نچھاور کر دینے والے شہداء سے زیادہ مقدس ہے؟



